Chaar-su Hai Badi Wahshat Ka Saman – Ghazal by Fahmida Riaz
Chaar-su hai badi wahshat ka saman
kisi aaseb ka saaya hai yahan.
Koi aawaz si hai marsiyan-khwan
shahr ka shahr bana goristan.
Ek makhluq jo basti hai yahan
jis pe insaan ka guzarta hai gumaan.
Khud toh saakit hai misaal-e-tasweer
jumbish-e-ghair se hai raqs-kunan.
Koi chehra nahin juz zer-e-naqaab
na koi jism hai juz be-dil-o-jaan.
Ulma hain dushman-e-fahm-o-tahaqeeq
kodani sheva-e-daanish-mandan.
Shayar-e-qaum pe ban aayi hai
kizb kaise ho tasawwuf mein nihan.
Lab hain masroof-e-qaseeda-goi
aur aankhon mein hai zillat uryan.
Sabz khat aaqibat-o-din ke aseer
paarsa khush-tan-o-nau-khez jawaan.
Ye jan-e-naghmagaar-o-ishq-shiaar
yaas-o-hasrat se hui hai hairaan.
Kis se ab aarzu-e-wasl karen
is kharaabe mein koi mard kahan. !! |
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home