Wednesday 27 March 2019

JAUN ELIA (14 December 1931 – 8 November 2002)


Saari Batein Bhool Jaana Fareha
Saari Batein Bhool Jaana Fareha
Tha Woh Sab Kuchh Ek Fasaana Fareha
Haan Mohabbat Ek Dhokha Hi To Thee
Ab Kabhi Dhokha Na Khaana Fareha
Chhed De Gar Koi Mera Tazkera
Sunn Ke Tanzan Muskuraana Fareha
Meri Jo Nazmen Tumhaare Naam Hain
Ab Unhen Mat Gungunaana Fareha
Tha Faqat Roohon Ke Naalon Ki Shikast
Woh Tarannum, Woh Taraana Fareha
Bahes Kya Karna Bhala Halaat Se
Haarna Hai, Haar Jaana Fareha
Saaz-O-Barg-E-Aish Ko Meri Tarah
Tum Nazar Se Mat Giraana Fareha
Hai Shaoor-E-Gham Ki Ek Qeemat Magar
Tum Yeh Qeemat Mat Chukaana Fareha
Zindagi Hai Fitratan Kuchh Bad-Mizaaj
Zindagi Ke Naaz Uthaana Fareha
Peshkash Mein Phool Kar Lena Qubool
Ab Sitaare Mat Mangaana Fareha
Chand Weeraane Tasawwur Mein Rahein
Jab Nai Duniya Basaana Fareha
Jaanib-E-Ishrat Gah-E-Shehar-E-Bahaar
Ho Sake To Mil Ke Jaana Fareha
Sochta Hoon Kis Qadar Tareek Hai
Ab Mera Baqi Zamaana Fareha
Sunn Raha Hoon Manzil-E-Ghurbat Se Door
Baj Raha Hai Shaadiyaana Fareha
Mauj-Zan Paata Hoon Main Ek Sail-E-Rang
Az-Qafas-Taa-Aashiyaana Fareha
Ho Mubaarak Rasm-E-Taqreeb-E-Shabaab
Bar-Muraad-E-Khusrawaana Fareha
Saj Ke Woh Kaisa Laga Hoga Jo Tha
Ek Khwaab-E-Shayeraana Fareha
Sochta Hoon Main, Ke Mujh Ko Chaahiye
Yeh Khushi Dil Se Manaana Fareha
Kya Hua Gar Zindagi Ki Rah Mein
Hum Nahin Shaana-Ba-Shaana Fareha
Waqt Shaayad Aap Apna Jabr Hai
Us Pe Kya Tohmat Lagaana Fareha
Zindagi Ek Naqsh-E-Be-Naqqaash Hai
Us Pe Kya Ungli Uthaana Fareha
Kaash Ek Qaanoon Hota Jo Nahin
Zakhm Apne Kya Dikhaana Fareha
Kaash Kuchh Iqdaar Hote Jo Nahin
Phir Bhala Dil Kya Jalaana Fareha
Sirf Ek Jalti Hui Zulmat Hai Noor
Taab-O-Taabish Par Na Jaana Fareha
Yeh Jo Sab Kuchh Hai Yeh Shaayad Kuchh Nahin
Rog Jee Ko Kya Lagaana Fareha
Sail Hai, Bas Be-Karaan Lamhon Ka Sail
Gharq-E-Sail-E-Be-Karaana Fareha

Jaun Elia Poetry In Urdu

Ganwai Kis Ki Taman’na Mein Zindagi Mein Ne
Wo Koon Hai Jisey Dekha Nahi Kabhi Mein Ne

Jaun Elia Poetry In Hindi

T bhi chup hai main bhi chup hun ye kaisi tanhai hai
tu bhi chup hai main bhi chup hun ye kaisi tanhai hai
tere sath teri yaad aai kya tu sach-much aai hai
shayad wo din pahla din tha palken bojhal hone ka
mujh ko dekhte hi jab us ki angDai sharmai hai
us din pahli bar hua tha mujh ko rifaqat ka ehsas
jab us ke malbus ki KHushbu ghar pahunchane aai hai
husn se arz-e-shauq na karna husn ko zak pahunchana hai
hum ne arz-e-shauq na kar ke husn ko zak pahunchai hai
hum ko aur to kuchh nahin sujha albatta us ke dil mein
soz-e-raqabat paida kar ke us ki nind uDai hai
hum donon mil kar bhi dilon ki tanhai mein bhaTkenge
pagal kuchh to soch ye tu ne kaisi shakl banai hai
ishq-e-pechan ki sandal par jaane kis din bel chaDhe
kyari mein pani Thahra hai diwaron par kai hai
husn ke jaane kitne chehre husn ke jaane kitne nam
ishq ka pesha husn-parasti ishq baDa harjai hai
aaj bahut din baad main apne kamre tak aa nikla tha
jun hi darwaza khola hai us ki KHushbu aai hai
ek to itna habs hai phir main sansen roke baiTha hun
virani ne jhaDu de ke ghar mein dhul uDai hai

Jaun Elia Sad Shayari

Zindagi Kya Hai Ik Kahani Hai
Ye Kahani Nahi Sunani Hai

Jaun Elia Shayari In Hindi

Umr guzregi imtihan mein kya
umr guzregi imtihan mein kya
dagh hi denge mujh ko dan mein kya
meri har baat be-asar hi rahi
naqs hai kuchh mere bayan mein kya
mujh ko to koi Tokta bhi nahin
yahi hota hai KHandan mein kya
apni mahrumiyan chhupate hain
hum gharibon ki aan-ban mein kya
KHud ko jaana juda zamane se
aa gaya tha mere guman mein kya
sham hi se dukan-e-did hai band
nahin nuqsan tak dukan mein kya
ai mere subh-o-sham-e-dil ki shafaq
tu nahati hai ab bhi ban mein kya
bolte kyun nahin mere haq mein
aable paD gae zaban mein kya
KHamushi kah rahi hai kan mein kya
aa raha hai mere guman mein kya
dil ki aate hain jis ko dhyan bahut
KHud bhi aata hai apne dhyan mein kya
wo mile to ye puchhna hai mujhe
ab bhi hun main teri aman mein kya
yun jo takta hai aasman ko tu
koi rahta hai aasman mein kya
hai nasim-e-bahaar gard-alud
KHak uDti hai us makan mein kya
ye mujhe chain kyun nahin paDta
ek hi shaKHs tha jahan mein kya

Jaun Elia 2 line Shayari

Kal Par Hi Rakho Wafa Ki Batain
Main Aaj Bohat Bhuja Hoa Hon

Jon Elia Poetry

Us ke pahlu se lag ke chalte hain
us ke pahlu se lag ke chalte hain
hum kahin Talne se Talte hain
band hai mai-kadon ke darwaze
hum to bas yunhi chal nikalte hain
main usi tarah to bahalta hun
aur sab jis tarah bahalte hain
wo hai jaan ab har ek mahfil ki
hum bhi ab ghar se kam nikalte hain
kya takalluf karen ye kahne mein
jo bhi KHush hai hum us se jalte hain
hai use dur ka safar dar-pesh
hum sambhaale nahin sambhalte hain
sham furqat ki lahlha uThi
wo hawa hai ki zaKHm bharte hain
hai ajab faisle ka sahra bhi
chal na paDiye to panw julte hain
ho raha hun main kis tarah barbaad
dekhne wale hath malte hain
tum bano rang tum bano KHushbu
hum to apne suKHan mein Dhalte hain

Jon Elia Shayari

Kaam Ki Baat Mein Ne Ki Hi Nahi
Ye Mera Tore Zindagi Hi Nahi

Jon Elia Poetry In Urdu

Us ne hum ko guman mein rakkha
us ne hum ko guman mein rakkha
aur phir kam hi dhyan mein rakkha
kya qayamat-numu thi wo jis ne
hashr us ki uThan mein rakkha
joshish-e-KHun ne apne fan ka hisab
ek chup ek chaTan mein rakkha
lamhe lamhe ki apni thi ek shan
tu ne hi ek shan mein rakkha
hum ne paiham qubul-o-rad kar ke
us ko ek imtihan mein rakkha
tum to us yaad ki aman mein ho
us ko kis ki aman mein rakkha
apna rishta zamin se hi rakkho
kuchh nahin aasman mein rakkha

Jaun Elia Poetry

Jo Guzari Na Ja Sake Ham Se
Ham Ne Wo Zindagi Guzari Hai

Jaun Elia Poetry In Urdu

Wo jo tha wo kabhi mila hi nahin
wo jo tha wo kabhi mila hi nahin
so gareban kabhi sila hi nahin
us se har dam moamla hai magar
darmiyan koi silsila hi nahin
be-mile hi bichhaD gae hum to
sau gile hain koi gila hi nahin
chashm-e-maigun se hai mughan ne kaha
mast kar de magar pila hi nahin
tu jo hai jaan tu jo hai jaanan
tu hamein aaj tak mila hi nahin
mast hun main mahak se us gul ki
jo kisi bagh mein khila hi nahin
hae ‘jaun’ us ka wo piyala-e-naf
jam aisa koi mila hi nahin
tu hai ek umr se fughan-pesha
abhi sina tera chhila hi nahin

Jaun Elia Poetry In Hindi

Zindagi Kis Tarah Basar Ho Gi
Dil Nahi Lag Raha Mohabat Mein

Jon Elia Poetry In Urdu

Wo KHayal-e-muhaal kis ka tha
wo KHayal-e-muhaal kis ka tha
aaina be-misal kis ka tha
safari apne aap se tha main
hijr kis ka visal kis ka tha
main to KHud mein kahin na tha maujud
mere lab par sawal kis ka tha
thi meri zat ek KHayal-ashob
jaane main ham-KHayal kis ka tha
jab ki main har-nafas tha be-ahwal
wo jo tha mera haal kis ka tha
dopahar baad-e-tund kucha-e-yar
wo ghubar-e-malal kis ka tha



Jaun Elia Poetry


Kal Dophar Ajeeb Si Ik Be Dili Rahi
Telian Jala Ke Bhujata Raha Hoon Mein
Wo kya kuchh na karne wale the
wo kya kuchh na karne wale the
bas koi dam mein marne wale the
the gile aur gard-e-baad ki sham
aur hum sab bikharne wale the
wo jo aata to us ki KHushbu mein
aaj hum rang bharne wale the
sirf afsos hai ye tanz nahin
tum na sanwre sanwarne wale the
yun to marna hai ek bar magar
hum kai bar marne wale the
Sab Mere Baghair Mutmayin Hain
Mein Sab Ke Baghair Ji Raha Hun
Yaad use intihai karte hain
yaad use intihai karte hain
so hum us ki burai karte hain
pasand aata hai dil se yusuf ko
wo jo yusuf ke bhai karte hain
hai badan KHwab-e-wasl ka danggal
aao zor-azmai karte hain
us ko aur ghair ko KHabar hi nahin
hum lagai bujhai karte hain
hum ajab hain ki us ki banhon mein
shikwa-e-narasai karte hain
haalat-e-wasl mein bhi hum donon
lamha lamha judai karte hain
aap jo meri jaan hain main dil hun
mujh se kaise judai karte hain
ba-wafa ek dusre se miyan
har-nafas bewafai karte hain
jo hain sarhad ke par se aae
wo bahut KHud-satai karte hain
pal qayamat ke sud-KHwar hain ‘jaun’
ye abad ki kamai karte hain
Meri Bahon Mai Behakne Ki Saza Bi Sun Le
Ab Bohat Dair Mai Azad Karon Ga Tuj Ko
Yaadon ka hisab rakh raha hun
yaadon ka hisab rakh raha hun
sine mein azab rakh raha hun
tum kuchh kahe jao kya kahun main
bas dil mein jawab rakh raha hun
daman mein kiye hain jama girdab
jebon mein habab rakh raha hun
aaega wo naKHwati so main bhi
kamre ko KHarab rakh raha hun
tum par main sahifa-ha-e-kohna
ek taza kitab rakh raha hun
Ye Kafi Hai Keh Ham Dushman Nahi Hain
Wafadari Ka Dawa Kyun Krein Ham
Ye akasr talKH-kaami si rahi kya
ye akasr talKH-kaami si rahi kya
mohabbat zak uTha kar aai thi kya
na kasdam hain na afi hain na azhdar
milenge shahr mein insan hi kya
main ab har shaKHs se ukta chuka hun
faqat kuchh dost hain aur dost bhi kya
ye rabt-e-be-shikayat aur ye main
jo shai sine mein thi wo bujh gai kya
mohabbat mein hamein pas-e-ana tha
badan ki ishtiha sadiq na thi kya
nahin hai ab mujhe tum par bharosa
tumhein mujh se mohabbat ho gai kya
jawab-e-bosa sach angDaiyan sach
to phir wo be-wafai jhuT thi kya
shikast-e-e’timad-e-zat ke waqt
qayamat aa rahi thi aa gai kya
Pass Rah Kar Judai Ki Tuj Se
Dor Ho Kar Tuje Talash Kia
Mein Ne Tera Nishan Gum Kar Ke
Apne Andar Tuje Talash Kia
Mein Bhi Bohat Ajeeb Hun Itna Ajeeb Hun Keh Bas
Khud Ko Tabah Kar Liya Aur Malal Bhi Nahi

Jo Dekhta Hon Wohi Bolne Ka Aadi Hun
Mein Apne Shehr Ka Sab Se Bara Fisadi Hun
Ye Tere Khat Teri Khushbu Ye Tere Khawab o Khayal
Mtay-e Jaan Hai Tere Qol-o Qasam Ki Tarah
Guzishta Sal Inhain Mai Ne Gin Ke Rakha Tha
Kisi Ghareb Ki Jori Hoi Raqam Ki Tarah
Naya Ik Rishta Paida Kyun Krein Ham
Bicharna Hai Tu Jagra Kyun Krein Ham
Ghair Ke Dil Mai Gar Utarna Tha…
Mere Dil Se Utar Gaye Hote
Zindagi Aik Fun Hai Lamhon Ko
Apne Andaz Se Ginwane Ka
Us Ne Goya Mujhi Ko Yaad Rakha
Mein Bhi Goya Usi Ko Bhol Gaya
Muj Ko Khwahish Hi Dhondne Kin A Thi
Muj Mein Khoya Raha Khuda Mera
Ham Se Rotha Bhi Gaya Ham Ko Manaya Bhi Gaya
Phir Sabhi Naqsh Ta’luq Ke Mitaye Bhi Gaye
Shayad Muje Kisi Se Mohabat Nahi Hui
Lekin Yaqeen Sab Ko Dilata Raha Hun Mein
Ik Teri Brabri Ke Liye
Khud Ko Kitna Gira Chuka Hun Mein
Tum Jab Aao Gi Khoya Hua Pao Gi Muje
Meri Tanhai Mein Khwabon Ke Siwa Kuch Bi Nahi
Mere Kamre Ko Sajane Ki Tmana Hai Tumhen
Mere Kamre Mein Kitabon Ke Siwa Kuch Bi Nahi
Har Bar Tuj Se Milte Waqt
Tuj Se Milne Ki Aarzo Ki Hai
Tere Jaane Ke Baad Bi Mein Ne
Teri Khushbu Se Guftagu Ki Hai
Dhund Chai Hui Hai Jheelon Par
Ur Rahe Hain Parinde Teelon Par
Sab Ka Rukh Hai Nishamon Ki Taraf
Bastion Ki Taraf, Banon Ki Taraf
Mere Sare Qatal Muj Par Jan-o Dil Se Aashiq Thay
Mai Ne Hi Khud Ko Mara Khair, Sab Ka Bhla Ho Sab Ki Khair
Ham Rahe Par Nahi Rahe Abad
Yaad K Ghar Nahi Rahe Abad
Kitni Aankhein Hui Hlak Nazr
Kitne Manzar Nahi Rahe Abad
Ham Ke Ae Dil Thay Sukhn Sar Ta pa
Ham Labon Par Nahi Rahe Abad
Shehr Dil Mai Ajab Mhale Thay
Un Mai Aksar Nahi Rahe Abad
Jane Kia Waqia Hoa Kun Log
Apne Andar Nahi Rahe Abad

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home