Wednesday 27 March 2019

ALLAMA IQBAL


Majnun ne shahr chhoDa to sahra bhi chhoD de
majnun ne shahr chhoDa to sahra bhi chhoD de
nazzare ki hawas ho to laila bhi chhoD de
waiz kamal-e-tark se milti hai yan murad
duniya jo chhoD di hai to uqba bhi chhoD de
taqlid ki rawish se to behtar hai KHud-kushi
rasta bhi DhunD KHizr ka sauda bhi chhoD de
manind-e-KHama teri zaban par hai harf-e-ghair
begana shai pe nazish-e-beja bhi chhoD de
lutf-e-kalam kya jo na ho dil mein dard-e-ishq
bismil nahin hai tu to taDapna bhi chhoD de
shabnam ki tarah phulon pe ro aur chaman se chal
is bagh mein qayam ka sauda bhi chhoD de
hai aashiqi mein rasm alag sab se baiThna
but-KHana bhi haram bhi kalisa bhi chhoD de
sauda-gari nahin ye ibaadat KHuda ki hai
ai be-KHabar jaza ki tamanna bhi chhoD de
achchha hai dil ke sath rahe pasban-e-aql
lekin kabhi kabhi ise tanha bhi chhoD de
jina wo kya jo ho nafas-e-ghair par madar
shohrat ki zindagi ka bharosa bhi chhoD de
shoKHi si hai sawal-e-mukarrar mein ai kalim
shart-e-raza ye hai ki taqaza bhi chhoD de
waiz subut lae jo mai ke jawaz mein
‘iqbaal’ ko ye zid hai ki pina bhi chhoD de

Poetry By Allama Iqbal In Urdu

Han Dikha De Ae Tasuwar Phir Wo Subah Sham Tu
Dor Peche Ki Taraf Ae Gardish-E Ayam Tu

Poetry By Allama Iqbal In Roman Urdu

Maktabon mein kahin ranai-e-afkar bhi hai
maktabon mein kahin ranai-e-afkar bhi hai
KHanqahon mein kahin lazzat-e-asrar bhi hai
manzil-e-rah-rawan dur bhi dushwar bhi hai
koi is qafile mein qafila-salar bhi hai
baDh ke KHaibar se hai ye marka-e-din-o-watan
is zamane mein koi haidar-e-karrar bhi hai
ilm ki had se pare banda-e-momin ke liye
lazzat-e-shauq bhi hai nemat-e-didar bhi hai
pir-e-mai-KHana ye kahta hai ki aiwan-e-farang
sust-buniyaad bhi hai aaina-diwar bhi hai
Poetry By Allama Iqbal Jawab Shikwa
Bhari Bazam Mein Raaz Ki Baat Keh Di
Bara Be-Adab Hun Saza Chahta Hun

Allama Iqbal Poetry In Urdu Love

Mata-e-be-baha hai dard-o-soz-e-arzumandi
mata-e-be-baha hai dard-o-soz-e-arzumandi
maqam-e-bandagi de kar na lun shan-e-KHudawandi
tere aazad bandon ki na ye duniya na wo duniya
yahan marne ki pabandi wahan jine ki pabandi
hijab iksir hai aawara-e-ku-e-mohabbat ko
meri aatish ko bhaDkati hai teri der-paiwandi
guzar-auqat kar leta hai ye koh o bayaban mein
ki shahin ke liye zillat hai kar-e-ashiyan-bandi
ye faizan-e-nazar tha ya ki maktab ki karamat thi
sikhae kis ne ismail ko aadab-e-farzandi
ziyarat-gah-e-ahl-e-azm-o-himmat hai lahad meri
ki KHak-e-rah ko main ne bataya raaz-e-alwandi
meri mashshatgi ki kya zarurat husn-e-mani ko
ki fitrat KHud-ba-KHud karti hai lale ki hina-bandi

Allama Iqbal Poetry In Urdu For Student

Soda Gari Nahi Ye Ibadat Khuda Ki Hai
Ae Be-Khabar Jaza Ki Tamana Bhi Chor De

Poetry By Allama Iqbal In Urdu

Meri nawa-e-shauq se shor harim-e-zat mein
meri nawa-e-shauq se shor harim-e-zat mein
ghulghula-ha-e-al-aman but-kada-e-sifat mein
hur o farishta hain asir mere taKHaiyyulat mein
meri nigah se KHalal teri tajalliyat mein
garche hai meri justuju dair o haram ki naqsha-band
meri fughan se rustaKHez kaba o somnat mein
gah meri nigah-e-tez chir gai dil-e-wajud
gah ulajh ke rah gai mere tawahhumat mein
tu ne ye kya ghazab kiya mujh ko bhi fash kar diya
main hi to ek raaz tha sina-e-kaenat mein
Poetry By Allama Iqbal In English
Anokhi Waza Hai Sare Zamane Se Nirale Hain
Ye Aashiq Kon Se Basti Key A Rab Rehne Wale Hain

Allama Iqbal Shayari In Urdu

Mir-e-sipah na-saza lashkariyan shikasta saf
mir-e-sipah na-saza lashkariyan shikasta saf
aah wo tir-e-nim-kash jis ka na ho koi hadaf
tere muhit mein kahin gauhar-e-zindagi nahin
DhunD chuka main mauj mauj dekh chuka sadaf sadaf
ishq-e-butan se hath uTha apni KHudi mein Dub ja
naqsh o nigar-e-dair mein KHun-e-jigar na kar talaf
khol ke kya bayan karun sirr-e-maqam-e-marg o ishq
ishq hai marg-e-ba-sharaf marg hayat-e-be-sharaf
sohbat-e-pir-e-rum se mujh pe hua ye raaz fash
lakh hakim sar-ba-jeb ek kalim sar-ba-kaf
misl-e-kalim ho agar marka aazma koi
ab bhi daraKHt-e-tur se aati hai bang-e-la-taKHaf
KHira na kar saka mujhe jalwa-e-danish-e-farang
surma hai meri aankh ka KHak-e-madina-o-najaf

Allama Iqbal Shayari In Hindi

Jinhen Mein Dhondta Tha Aasmano Mein Zameeno Mein
Wo Nikle Mere Zulmat Khana-E Dil Ke Makeeno Mein

Poetry By Allama Iqbal On Nation

Meri nawa se hue zinda aarif o aami
meri nawa se hue zinda aarif o aami
diya hai main ne unhen zauq-e-atish aashami
haram ke pas koi aajmi hai zamzama-sanj
ki tar tar hue jama hae ehrami
haqiqat-e-abadi hai maqam-e-shabbiri
badalte rahte hain andaz-e-kufi o shami
mujhe ye Dar hai muqamir hain puKHta-kar bahut
na rang lae kahin tere hath ki KHami
ajab nahin ki musalman ko phir ata kar den
shikwa-e-sanjar o faqr-e-juned o bastami
qaba-e-ilm o hunar lutf-e-KHas hai warna
teri nigah mein thi meri na-KHush andami

Allama Iqbal Islamic Shayari

Tu Qadir Aur Aadil Hai Par Tere Jahan Mein
Hai Talkh Bohat Banda-E Mazdoor Ke Auqat

Allama Iqbal Poetry In Urdu Love

MiTa diya mere saqi ne aalam-e-man-o-tu
miTa diya mere saqi ne aalam-e-man-o-tu
pila ke mujh ko mai-e-la-ilaha-illa-hu
na mai na sher na saqi na shor-e-chang-o-rabab
sukut-e-koh o lab-e-ju wa lala-e-KHud-ru
gada-e-mai-kada ki shan-e-be-niyazi dekh
pahunch ke chashma-e-haiwan pe toDta hai subu
mera sabucha ghanimat hai is zamane mein
ki KHanqah mein KHali hain sufiyon ke kadu
main nau-niyaz hun mujh se hijab hi aula
ki dil se baDh ke hai meri nigah be-qabu
agarche bahr ki maujon mein hai maqam is ka
safa-e-paki-e-tinat se hai guhar ka wazu
jamil-tar hain gul o lala faiz se is ke
nigah-e-shair-e-rangin-nawa mein hai jadu

Poetry By Allama Iqbal In Urdu

Ishq Teri Inteha Ishq Meri Inteha
Tu Bhi Abi Na Timan Mein Bhi Abi Na Timam

Poetry By Allama Iqbal In Roman Urdu

Mujhe aah-o-fughan-e-nim-shab ka phir payam aaya
mujhe aah-o-fughan-e-nim-shab ka phir payam aaya
tham ai rah-rau ki shayad phir koi mushkil maqam aaya
zara taqdir ki gahraiyon mein Dub ja tu bhi
ki is jangah se main ban ke tegh-e-be-niyam aaya
ye misra likh diya kis shoKH ne mehrab-e-masjid par
ye nadan gir gae sajdon mein jab waqt-e-qayam aaya
chal ai meri gharibi ka tamasha dekhne wale
wo mahfil uTh gai jis dam to mujh tak daur-e-jam aaya
diya ‘iqbaal’ ne hindi musalmanon ko soz apna
ye ek mard-e-tan-asan tha tan-asanon ke kaam aaya
usi ‘iqbaal’ ki main justuju karta raha barson
baDi muddat ke baad aaKHir wo shahin zer-e-dam aaya
Poetry By Allama Iqbal Jawab Shikwa
Apne Man Mein Dob Kar Pa Ja Suragh-E Zindagi
Tu Agar Mera Nahi Banta Na Ban Apna Tu Ban

Allama Iqbal Islamic Shayari

Musalman ke lahu mein hai saliqa dil-nawazi ka
musalman ke lahu mein hai saliqa dil-nawazi ka
murawwat husn-e-alam-gir hai mardan-e-ghazi ka
shikayat hai mujhe ya rab KHudawandan-e-maktab se
sabaq shahin bachchon ko de rahe hain KHak-bazi ka
bahut muddat ke naKHchiron ka andaz-e-nigah badla
ki main ne fash kar Dala tariqa shah-bazi ka
qalandar juz do harf-e-la-ilah kuchh bhi nahin rakhta
faqih-e-shahr qarun hai lughat-ha-e-hijazi ka
hadis-e-baada-o-mina-o-jam aati nahin mujh ko
na kar KHara-shigafon se taqaza shisha-sazi ka
kahan se tu ne ai ‘iqbaal’ sikhi hai ye darweshi
ki charcha padshahon mein hai teri be-niyazi ka

Poetry By Allama Iqbal On Karbala

Tera Imam Bay Hazoor Teri Namaz Bay Saror
Aesi Namaz Se Guzar Aese Imam Se Guzar

Allama Iqbal Poetry In Urdu Love

Na aate hamein is mein takrar kya thi
na aate hamein is mein takrar kya thi
magar wada karte hue aar kya thi
tumhaare payami ne sab raaz khola
KHata is mein bande ki sarkar kya thi
bhari bazm mein apne aashiq ko taDa
teri aankh masti mein hoshyar kya thi
tammul to tha un ko aane mein qasid
magar ye bata tarz-e-inkar kya thi
khinche KHud-baKHud jaanib-e-tur musa
kashish teri ai shauq-e-didar kya thi
kahin zikr rahta hai ‘iqbaal’ tera
fusun tha koi teri guftar kya thi

Allama Iqbal 2 Line Shayari

Roz-e Hisab Jab Mera Pesh Ho Daftar-e Amal
Aap Bhi Sharam-Sar Ho Muj Ko Bhi Sharam-Sar Krein


Na ho tughyan-e-mushtaqi to main rahta nahin baqi
na ho tughyan-e-mushtaqi to main rahta nahin baqi
ki meri zindagi kya hai yahi tughyan-e-mushtaqi
mujhe fitrat nawa par pai-ba-pai majbur karti hai
abhi mahfil mein hai shayad koi dard-ashna baqi
wo aatish aaj bhi tera nasheman phunk sakti hai
talab sadiq na ho teri to phir kya shikwa-e-saqi
na kar afrang ka andaza us ki tabnaki se
ki bijli ke charaghon se hai is jauhar ki barraqi
dilon mein walwale aafaq-giri ke nahin uThte
nigahon mein agar paida na ho andaz-e-afaqi
KHizan mein bhi kab aa sakta tha main sayyaad ki zad mein
meri ghammaz thi shaKH-e-nasheman ki kam auraqi
ulaT jaengi tadbiren badal jaengi taqdiren
haqiqat hai nahin mere taKHayyul ki hai KHallaqi
Jafa jo ishq main hoti hai wo jafa hi nahi
Sitam na ho tu muhabat main kuch maza hi nahi
Na taKHt-o-taj mein ne lashkar-o-sipah mein hai
na taKHt-o-taj mein ne lashkar-o-sipah mein hai
jo baat mard-e-qalandar ki bargah mein hai
sanam-kada hai jahan aur mard-e-haq hai KHalil
ye nukta wo hai ki poshida la-ilah mein hai
wahi jahan hai tera jis ko tu kare paida
ye sang-o-KHisht nahin jo teri nigah mein hai
mah o sitara se aage maqam hai jis ka
wo musht-e-KHak abhi aawargan-e-rah mein hai
KHabar mili hai KHudayan-e-bahr-o-bar se mujhe
farang rahguzar-e-sail-e-be-panah mein hai
talash us ki fazaon mein kar nasib apna
jahan-e-taza meri aah-e-subh-gah mein hai
mere kadu ko ghanimat samajh ki baada-e-nab
na madrase mein hai baqi na KHanqah mein hai
Hazaron Saal Nargis Apni Be Nori Pe Roti Hai
Bari Mushkil Se Hota Hai Chaman Mein Deda War Paida
Na tu zamin ke liye hai na aasman ke liye
na tu zamin ke liye hai na aasman ke liye
jahan hai tere liye tu nahin jahan ke liye
ye aql o dil hain sharar shola-e-mohabbat ke
wo KHar-o-KHas ke liye hai ye nistan ke liye
maqam-e-parwarish-e-ah-o-lala hai ye chaman
na sair-e-gul ke liye hai na aashiyan ke liye
rahega rawi o nil o furaat mein kab tak
tera safina ki hai bahr-e-be-karan ke liye
nishan-e-rah dikhate the jo sitaron ko
taras gae hain kisi mard-e-rah-dan ke liye
nigah buland suKHan dil-nawaz jaan pur-soz
yahi hai raKHt-e-safar mir-e-karwan ke liye
zara si baat thi andesha-e-ajam ne use
baDha diya hai faqat zeb-e-dastan ke liye
mere gulu mein hai ek naghma jibrail-ashob
sambhaal kar jise rakkha hai la-makan ke liye
Buttun Se Tuje Ko Umeedain Khuda Se No Umdeedi
Muje Bata Tu Sahi Aur Kafri Kya Hai
Nala hai bulbul-e-shorida tera KHam abhi
nala hai bulbul-e-shorida tera KHam abhi
apne sine mein ise aur zara tham abhi
puKHta hoti hai agar maslahat-andesh ho aql
ishq ho maslahat-andesh to hai KHam abhi
be-KHatar kud paDa aatish-e-namrud mein ishq
aql hai mahw-e-tamasha-e-lab-e-baam abhi
ishq farmuda-e-qasid se subuk-gam-e-amal
aql samjhi hi nahin mani-e-paigham abhi
shewa-e-ishq hai aazadi o dahr-ashobi
tu hai zunnari-e-but-KHana-e-ayyam abhi
uzr-e-parhez pe kahta hai bigaD kar saqi
hai tere dil mein wahi kawish-e-anjam abhi
sai-e-paiham hai taraazu-e-kam-o-kaif-e-hayat
teri mizan hai shumar-e-sahar-o-sham abhi
abr-e-naisan ye tunuk-baKHshi-e-shabnam kab tak
mere kohsar ke lale hain tahi-jam abhi
baada-gardan-e-ajam wo arabi meri sharab
mere saghar se jhijakte hain mai-asham abhi
KHabar ‘iqbaal’ ki lai hai gulistan se nasim
nau-giraftar phaDakta hai tah-e-dam abhi
Ishq Bhi Ho Hijab Mein Husn Bhi Ho Hijab Mein
Ye Tu Khud Aaskaar Ho Ye Muje Aashkaar Kar
Ne mohra baqi ne mohra-bazi
ne mohra baqi ne mohra-bazi
jita hai ‘rumi’ haara hai ‘raazi’
raushan hai jam-e-jamshed ab tak
shahi nahin hai ba-shisha-bazi
dil hai musalman mera na tera
tu bhi namazi main bhi namazi
main jaanta hun anjam us ka
jis marke mein mulla hon ghazi
turki bhi shirin tazi bhi shirin
harf-e-mohabbat turki na tazi
aazar ka pesha KHara-tarashi
kar-e-KHalilan KHara-gudazi
tu zindagi hai paendagi hai
baqi hai jo kuchh sab KHak-bazi

Mana Ke Teri Deed Ke Qabil Nahi Hun Mein
Tu Mera Shoq Dekh, Mera Intezaar Dekh
Nigah-e-faqr mein shan-e-sikandari kya hai
nigah-e-faqr mein shan-e-sikandari kya hai
KHiraj ki jo gada ho wo qaisari kya hai
buton se tujh ko umiden KHuda se naumidi
mujhe bata to sahi aur kafiri kya hai
falak ne un ko ata ki hai KHwajgi ki jinhen
KHabar nahin rawish-e-banda-parwari kya hai
faqat nigah se hota hai faisla dil ka
na ho nigah mein shoKHi to dilbari kya hai
isi KHata se itab-e-muluk hai mujh par
ki jaanta hun maal-e-sikandari kya hai
kise nahin hai tamanna-e-sarwari lekin
KHudi ki maut ho jis mein wo sarwari kya hai
KHush aa gai hai jahan ko qalandari meri
wagarna sher mera kya hai shairi kya hai
Na Tu Zamain Ke Liye Hai Na Aasman Ke Liye
Jahan Hai Tere Liye Tu Nahi Jahan Ke Liye
Nishan-e Rah Dikhate Thay Jo Sitaron Ko
Taras Gye Hain Kisi Mard-e Rah Dan Ke Liye
Pareshan ho ke meri KHak aaKHir dil na ban jae
pareshan ho ke meri KHak aaKHir dil na ban jae
jo mushkil ab hai ya rab phir wahi mushkil na ban jae
na kar den mujh ko majbur-e-nawa firdaus mein huren
mera soz-e-darun phir garmi-e-mahfil na ban jae
kabhi chhoDi hui manzil bhi yaad aati hai rahi ko
khaTak si hai jo sine mein gham-e-manzil na ban jae
banaya ishq ne dariya-e-na-paida-karan mujh ko
ye meri KHud-nigah-dari mera sahil na ban jae
kahin is aalam-e-be-rang-o-bu mein bhi talab meri
wahi afsana-e-dumbaala-e-mahmil na ban jae
uruj-e-adam-e-KHaki se anjum sahme jate hain
ki ye TuTa hua tara mah-e-kaamil na ban jae
La Phir Ik Bar Wohi Bada O Jam Aye Saqi
Hath A Jaye Muje Mera Muqam Aye Saqi
Teen So Saal Se Hain Hind Ke Mekhane Band
Ab Munasib Hai Tera Faiz Ho Aam Saqi
Phir charagh-e-lala se raushan hue koh o daman
phir charagh-e-lala se raushan hue koh o daman
mujh ko phir naghmon pe uksane laga murgh-e-chaman
phul hain sahra mein ya pariyan qatar andar qatar
ude ude nile nile pile pile pairahan
barg-e-gul par rakh gai shabnam ka moti baad-e-subh
aur chamkati hai us moti ko suraj ki kiran
husn-e-be-parwa ko apni be-naqabi ke liye
hon agar shahron se ban pyare to shahr achchhe ki ban
apne man mein Dub kar pa ja suragh-e-zindagi
tu agar mera nahin banta na ban apna to ban
man ki duniya man ki duniya soz o masti jazb o shauq
tan ki duniya tan ki duniya sud o sauda makr o fan
man ki daulat hath aati hai to phir jati nahin
tan ki daulat chhanw hai aata hai dhan jata hai dhan
man ki duniya mein na paya main ne afrangi ka raj
man ki duniya mein na dekhe main ne shaiKH o barhaman
pani pani kar gai mujko qalandar ki ye baat
tu jhuka jab ghair ke aage na man tera na tan
Woh Dana-e Subul Khatam ur Rusul Mola-e Kul Jis Ne
Ghubar-e Rah Ko Baksha Firogh-e Wadi e Sena
Nigah Ishq O Masti Mein Wohi Awal Wohi Aakhir
Wohi Quran, Wohi Furqan, Wohi Yaseen, Wohi Taha
Puchh us se ki maqbul hai fitrat ki gawahi
puchh us se ki maqbul hai fitrat ki gawahi
tu sahib-e-manzil hai ki bhaTka hua rahi
kafir hai musalman to na shahi na faqiri
momin hai to karta hai faqiri mein bhi shahi
kafir hai to shamshir pe karta hai bharosa
momin hai to be-tegh bhi laDta hai sipahi
kafir hai to hai taba-e-taqdir musalman
momin hai to wo aap hai taqdir-e-ilahi
main ne to kiya parda-e-asrar ko bhi chaak
derina hai tera maraz-e-kor-nigahi
Jamhoriat Ik Tarz-e Hakomat Hai Ke Jis Mein
Bandon Ko Gina Karte Hain Tola Nahi Karte
Raha na halqa-e-sufi mein soz-e-mushtaqi
raha na halqa-e-sufi mein soz-e-mushtaqi
fasana-ha-e-karamat rah gae baqi
KHarab koshak-e-sultan o KHanqah-e-faqir
fughan ki taKHt o musalla kamal-e-razzaqi
karegi dawar-e-mahshar ko sharmsar ek roz
kitab-e-sufi-o-mulla ki sada-auraqi
na chini o arabi wo na rumi o shami
sama saka na do aalam mein mard-e-afaqi
mai-e-shabana ki masti to ho chuki lekin
khaTak raha hai dilon mein karishma-e-saqi
chaman mein talKH-nawai meri gawara kar
ki zahr bhi kabhi karta hai kar-e-tiryaqi
aziz-tar hai mata-e-amir-o-sultan se
wo sher jis mein ho bijli ka soz o barraqaifi



Tere Ishq Ki Inteha Chahta Hoon
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon
Sitam Ho Ke Ho Wa’ada Be Hajabi
Koi Baat Sabar Aazma Chahta Hoon
Sitaron Se Aage Jahan Aur Bi Hain
Abi Ishq Ke Imtihan Aur Bi Hain
Tahi Zindagi Se Nahi Ye Fazain
Yahan Sainkron Imtihan Aur Bi Hain
Tu Abhi Rahguzar Mein Hai Qaid-e-maqaam Se Guzar
Misr O Hijaz Se Guzar Paaras O Shaam Se Guzar
Jis Kaa Amal Hai Be-garaz Us Ki Jazaa Kuch Aur Hai
Huur O Khiyaam Se Guzar Baada-o-jaam Se Guzar
Zindagi Insan Ki Ik Dam Ke Siwa Kuch Bi Nahi
Dam Hawa Ki Moj Hai, Ram Ke Siwa Kuch Bi Nahi
Gul, Tabasm Keh Raha Tha Zindagani Ko Mgar
Shama Boli, Garya-e Gham Ke Siwa Kuch Bi Nahi
Mitt Jaye ga Gunahoo Ka Tasawur is Jaahan Say,
IQBAL
Agar Ho jaye ‘Yaqeen’ K Khuda Daik Raha Hai…
Jo Main Sar Bsajda Hoa Kabi, Tu Zameen Se Aane Lagi Sada
Tera Dil Tu Hai Sanam Aashna, Tuje Kia Mile Ga Namaz Main
Allah Se Kare Dor Tu Taleem Bi Fitna
Imlak Bi Aulad Bi Jager Bi Fitna
Nahaq Ke Liye Uthe Tu Shamsher Bi Fitna
Shamsher Hi Kya Nara-e Taqbeer Bi Fitna
Pta Nahi Kya Hai Naam Us Ka, Khuda Farebi Ke Khud Farebi
Amal Se Farigh Hoa Muslaman Bna Ke Taqdeer Bhana
Muztrab Rakhta Hai Mera Dil-e Betab Muje
Aen Hasti Hai Tarap Sorat Semab Muje
Moj Hai Naam Mera Behr Ha Payab Muje
Ho Na Zanjer Kabi Halqa-e Gardab Muje
Nazar Nazar Ka Farq Hota Hai Husn Ka Nahi Iqbal
Mehbob Jis Ka Bi Ho Jesa Bi Ho Be Mesal Hota Hai
Ye Moj-e Nafs Kya Hai Talwar Hai
Khudi Kia Hai, Talwar Ki Dhar Hai
Shikwa
Broz-e Hashar Mai Be Khof Gus Jayon Ga Jannat Main
Whan Se Aye Thay Adam Wo Mere Baap Ka Ghar Hai
Jawab e Shikwa
In Amal Ke Sath Jannat Ka Talabgar Hai Kya
Whan Se Nikale Gye Adam Tu Teri Aoqat He Kya
Khudi Mai Doob Zamane Se Na Umeed Na Ho
K Is Ka Zakhm Hai Dar Parda Ihtmam-e Rafu
Apne Bi Khfa Muj Se Hain, Begane Bi Na Khush
Mai Zehr-e Hlahal Ko Kabi Keh Na Ska Qand
Zindagi Kuch Aur Shay Hai Ilm Hai Kuch Aur Shay
Zindagi Soz-e Jigar Hai, Ilm Hai Soz-e Dimag
Nahi Hai Na Umeed Iqbal Apni Kisht-e Weran Se
Zara Nam Ho Tu Ye Matti Bahut Zarkhez Hai Saqi
Mojon Ke Tapash Kia Hai Faqt Zoq-e Talab Hai
Pinhan Jo Sadaf Main Hain Wo Dolat Hai Khuda Dad
Masjid Tu Bna Di Shab Bhar Main Aeman Ki Hararat Walon Ne
Man Apna Purana Papi Hai Barson Main Namazi Ban Na Saka
Parwane Ko Chiragh Hai Bulbul Ko Phol Bas
Sadeeq Ke Liye Hai Khuda Ka Rasool Bas
Ghuza Aoqat Kar Leta Hai Ye Koh-o Bayaban Main
Ke Shaheen Ke Liye Zillat Hai Kar-e-Aashian Bandi
Har Lehza Hai Momin Ki Nai Shan, Nai Aan
Guftar Mein, Kirdar Mein, Allah Ki Burhan.!
Qahhari-O-Guffari-O-Quddusi-O-Jabroot
Ye Char Anasir Hon To Banta Hai Musalman

1 Comments:

At 22 February 2021 at 07:30 , Blogger Unknown said...

Well awesome collection of Iqbal's poetry

 

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home