Wednesday 27 March 2019

FAIZ AHMAD FAIZ

Faiz Ahmed Faiz Poetry

raaz-e-ulfat chhupa ke dekh liya
dil bahut kuchh jala ke dekh liya
aur kya dekhne ko baqi hai
aap se dil laga ke dekh liya
wo mere ho ke bhi mere na hue
un ko apna bana ke dekh liya
aaj un ki nazar mein kuchh hum ne
sab ki nazren bacha ke dekh liya
‘faiz’ takmil-e-gham bhi ho na saki
ishq ko aazma ke dekh liya

Faiz Ahmad Faiz Poetry In Urdu

Ab Apna Ikhtiar Hai Chahy Jahan Chlain
Rehbar Se Apni Rah Juda Kar Chuke Hain Ham

Faiz Ahmed Faiz Poetry Two Line Shayari

Aap Ki Yaad Aati Rahi Raat Bhar
Chandi Dil Dukhati Rahi Raat Bhar
Faiz Ahmed Faiz Poetry On Love
rah-e-KHizan mein talash-e-bahaar karte rahe
shab-e-siyah se talab husn-e-yar karte rahe
KHayal-e-yar kabhi zikr-e-yar karte rahe
isi mataa pe hum rozgar karte rahe
nahin shikayat-e-hijran ki is wasile se
hum un se rishta-e-dil ustuwar karte rahe
wo din ki koi bhi jab wajh-e-intizar na thi
hum un mein tera siwa intizar karte rahe
hum apne raaz pe nazan the sharmsar na the
har ek se suKHan-e-raaz-dar karte rahe
ziya-e-bazm-e-jahan bar bar mand hui
hadis-e-shola-ruKHan bar bar karte rahe
unhin ke faiz se bazar-e-aql raushan hai
jo gah gah junun iKHtiyar karte rahe
Faiz Ahmed Faiz Poetry On Friends
Kab Thehray Ga Dard Ae Dil, Kab Raat Basar Ho Gi
Sunte Thay Wo Ayen Gay, Sunte Thay Sehar Ho Gi

Faiz Ahmed Faiz Shayari In Hindi

Wo Aa Rahe Hain Wo Aate Hain Aa Rahe Hun Gey
Shab-e Firaq Ye Keh Kar Guzar Di Ham Ne

Faiz Ahmed Faiz Shayari In Urdu

sab qatl ho ke tere muqabil se aae hain
hum log surKH-ru hain ki manzil se aae hain
sham-e-nazar KHayal ke anjum jigar ke dagh
jitne charagh hain teri mahfil se aae hain
uTh kar to aa gae hain teri bazm se magar
kuchh dil hi jaanta hai ki kis dil se aae hain
har ek qadam ajal tha har ek gam zindagi
hum ghum phir ke kucha-e-qatil se aae hain
baad-e-KHizan ka shukr karo ‘faiz’ jis ke hath
name kisi bahaar-e-shimail se aae hain

Faiz Ahmed Faiz Poetry On Sharab

Awaz main thehrao tha ankhon main nami thi
Aur keh raha tha main ne sab kuch bhula dia
Faiz Ahmed Faiz Poetry On Isqu
Tere Qol-o Qarar Se Pehle
Apne Kuch Aur Bhi Sahare Thay

Faiz Ahmad Faiz Inqlabi Poetry

sabhi kuchh hai tera diya hua sabhi rahaten sabhi kulfaten
kabhi sohbaten kabhi furqaten kabhi duriyan kabhi qurbaten
ye suKHan jo hum ne raqam kiye ye hain sab waraq teri yaad ke
koi lamha subh-e-visal ka koi sham-e-hijr ki muddaten
jo tumhaari man len naseha to rahega daman-e-dil mein kya
na kisi adu ki adawaten na kisi sanam ki murawwaten
chalo aao tum ko dikhaen hum jo bacha hai maqtal-e-shahr mein
ye mazar ahl-e-safa ke hain ye hain ahl-e-sidq ki turbaten
meri jaan aaj ka gham na kar ki na jaane katib-e-waqt ne
kisi apne kal mein bhi bhul kar kahin likh rakhi hon masarraten

Faiz Ahmad Faiz Poetry

Dil Na Umeed Tu Nahi Nakaam Hi Tu Hai
Lambi Hai Gham Hi Shaam Magar Shaam Hi Tu Hai

Faiz Ahmad Faiz Poetry In Urdu

Na Jane Kis Liye Umeedwar Betha Hun
Ik Aesi Rah Pe Jo Teri Rah Guzar Bhi Nahi

Faiz Ahmad Faiz Poetry In Hindi

sahal yun rah-e-zindagi ki hai
har qadam hum ne aashiqi ki hai
hum ne dil mein saja liye gulshan
jab bahaaron ne be-ruKHi ki hai
zahr se dho liye hain honT apne
lutf-e-saqi ne jab kami ki hai
tere kuche mein baadshahi ki
jab se nikle gadagari ki hai
bas wahi surKH-ru hua jis ne
bahr-e-KHun mein shanawari ki hai
jo guzarte the ‘dagh’ par sadme
ab wahi kaifiyat sabhi ki hai

Faiz Ahmed Faiz Poetry

Shaam-e Firaq Ab Na Poch Ayi Aur Aa Ke Tal Gai
Dil Tha Ke Phir Behal Gya Jan Thi Ke Phir Sambhal Gai

Faiz Ahmed Faiz Poetry On Love

Uth Kar Tu Aa Gye Hain Teri Bazam Se Magar
Kuch Dil Hi Janta Hai Keh Kis Dil Se Aye Hain

Faiz Ahmad Faiz Inqlabi Poetry

shaKH par KHun-e-gul rawan hai wahi
shoKHi-e-rang-e-gulsitan hai wahi
sar wahi hai to aastan hai wahi
jaan wahi hai to jaan-e-jaan hai wahi
ab jahan mehrban nahin koi
kucha-e-yar mehrban hai wahi
barq sau bar gir ke KHak hui
raunaq-e-KHak-e-ashiyan hai wahi
aaj ki shab visal ki shab hai
dil se har roz dastan hai wahi
chand tare idhar nahin aate
warna zindan mein aasman hai wahi

Faiz Ahmed Faiz Shayari

Tumhari Yaad Ke Jab Zakhm Bharne Lagte Hain
Kisi Bahane Tumhein Yaad Karne Lagte Hain

Faiz Ahmed Faiz Shayari In Urdu

Uth Kar Tu Aa Gaye Hain Teri Bazm Se Magar
Kuch Dil Hi Janta Hai Keh Kis Dil Se Aye Hain

Faiz Ahmad Faiz Poetry In Urdu

sham-e-firaq ab na puchh aai aur aa ke Tal gai
dil tha ki phir bahal gaya jaan thi ki phir sambhal gai
bazm-e-KHayal mein tere husn ki shama jal gai
dard ka chand bujh gaya hijr ki raat Dhal gai
jab tujhe yaad kar liya subh mahak mahak uThi
jab tera gham jaga liya raat machal machal gai
dil se to har moamla kar ke chale the saf hum
kahne mein un ke samne baat badal badal gai
aaKHir-e-shab ke ham-safar ‘faiz’ na jaane kya hue
rah gai kis jagah saba subh kidhar nikal gai

Faiz Ahmed Faiz Poetry

Gar Bazi Ishq Ki Bazi Hai Jo Chao Laga Do Dar Kesa
Gar Jeet Gye Tu Kya Kehne, Haare Bhi Tu Bazi Maat Nahi


Faiz Ahmed Faiz Poetry

Jurtay hoye dekha nahi totay hoye dil ko
Gir jayen jo ansu to uthaye nahi jatay
shafaq ki rakh mein jal bujh gaya sitara-e-sham
shab-e-firaq ke gesu faza mein lahrae
koi pukaro ki ek umr hone aai hai
falak ko qafila-e-roz-o-sham Thahrae
ye zid hai yaad harifan-e-baada-paima ki
ki shab ko chand na nikle na din ko abr aae
saba ne phir dar-e-zindan pe aa ke di dastak
sahar qarib hai dil se kaho na ghabrae
Aur Kya Dekhne Ko Baqi Hai
Aap Se Dil Laga Ke Dekh Lya
Aur Bhi Dukh Hain Zamane Mein Mohabat Ke Siwa
Rahaten Aur Bhi Hain Wasal Ki Rahat Ke Siwa
shaiKH sahab se rasm-o-rah na ki
shukr hai zindagi tabah na ki
tujh ko dekha to ser-chashm hue
tujh ko chaha to aur chah na ki
tere dast-e-sitam ka ijz nahin
dil hi kafir tha jis ne aah na ki
the shab-e-hijr kaam aur bahut
hum ne fikr-e-dil-e-tabah na ki
kaun qatil bacha hai shahr mein ‘faiz’
jis se yaron ne rasm-o-rah na ki
Raat Yun Dil Mein Teri Khoyi Hui Yaad Ayi
Jese Werane Mein Chupke Se Bahar Ayi
Jese Sehraon Mein Hole Se Chlae Bad-e Naseem
Jese Beemar Ko Bewaja Qarar A Jaye
Qarz-e Nigah-e Yaar Ada Kar Chuke Hain Ham
Sab Kuch Nisar Rah-e Wafa Kar Chuke Hain Ham
Kuch Imtihan-e Dast-e Jafa Kar Chuke Hain Ham
Kuch Un Ki Dastras Ka Pta Kar Chuke Hain Ham
sharah-e-bedardi-e-haalat na hone pai
ab ke bhi dil ki mudaraat na hone pai
phir wahi wada jo iqrar na banne paya
phir wahi baat jo isbaat na hone pai
phir wo parwane jinhen izn-e-shahadat na mila
phir wo shamen ki jinhen raat na hone pai
phir wahi jaan-ba-labi lazzat-e-mai se pahle
phir wo mahfil jo KHarabaat na hone pai
phir dam-e-did rahe chashm o nazar did-talab
phir shab-e-wasl mulaqat na hone pai
phir wahan bab-e-asar jaaniye kab band hua
phir yahan KHatm munajat na hone pai
‘faiz’ sar par jo har ek roz qayamat guzri
ek bhi roz mukafat na hone pai
This murky dappled glow and smoky dawn
‘Tis not the same daybreak, we did wait
Aj Tanhai Kisi HamDam Derain Ki Tarah
Karne Ayi Hai Mri Saqi Giri Sham Dhale
Muntazir Bethe Hai Ham Dono Ke Mahtab Ubhray
Aur Tra Aks Jalakne Lagy Har Saye Tale
sharh-e-firaq madh-e-lab-e-mushkbu karen
ghurbat-kade mein kis se teri guftugu karen
yar aashna nahin koi Takraen kis se jam
kis dil-ruba ke nam pe KHali subu karen
sine pe hath hai na nazar ko talash-e-baam
dil sath de to aaj gham-e-arzu karen
kab tak sunegi raat kahan tak sunaen hum
shikwe-gile sab aaj tere ru-ba-ru karen
hamdam hadis-e-ku-e-malamat sunaiyo
dil ko lahu karen ya gareban rafu karen
aashufta-sar hain muhtasibo munh na aaiyo
sar bech den to fikr-e-dil-o-jaan adu karen
tar-damani pe shaiKH hamari na jaiyo
daman nichoD den to farishte wuzu karen
sitam ki rasmen bahut thin lekin na thi teri anjuman se pahle
saza KHata-e-nazar se pahle itab jurm-e-suKHan se pahle
jo chal sako to chalo ki rah-e-wafa bahut muKHtasar hui hai
maqam hai ab koi na manzil faraaz-e-dar-o-rasan se pahle
nahin rahi ab junun ki zanjir par wo pahli ijara-dari
giraft karte hain karne wale KHirad pe diwana-pan se pahle
kare koi tegh ka nazara ab un ko ye bhi nahin gawara
ba-zid hai qatil ki jaan-e-bismil figar ho jism o tan se pahle
ghurur-e-sarw-o-saman se kah do ki phir wahi tajdar honge
jo KHar-o-KHas wali-e-chaman the uruj-e-sarw-o-suman se pahle
idhar taqaze hain maslahat ke udhar taqaza-e-dard-e-dil hai
zaban sambhaalen ki dil sambhaalen asir zikr-e-watan se pahle
sitam sikhlaega rasm-e-wafa aise nahin hota
sanam dikhlaenge rah-e-KHuda aise nahin hota
gino sab hasraten jo KHun hui hain tan ke maqtal mein
mere qatil hisab-e-KHun-baha aise nahin hota
jahan-e-dil mein kaam aati hain tadbiren na taziren
yahan paiman-e-taslim-o-raza aise nahin hota
har ek shab har ghaDi guzre qayamat yun to hota hai
magar har subh ho roz-e-jaza aise nahin hota
rawan hai nabz-e-dauran gardishon mein aasman sare
jo tum kahte ho sab kuchh ho chuka aise nahin hota

Faiz Ahmed Faiz Poetry

subh ki aaj jo rangat hai wo pahle to na thi
kya KHabar aaj KHiraman sar-e-gulzar hai kaun
sham gulnar hui jati hai dekho to sahi
ye jo nikla hai liye mishal-e-ruKHsar hai kaun
raat mahki hui aai hai kahin se puchho
aaj bikhrae hue zulf-e-trah-dar hai kaun
phir dar-e-dil pe koi dene laga hai dastak
jaaniye phir dil-e-wahshi ka talabgar hai kaun
teri surat jo dil-nashin ki hai
aashna shakl har hasin ki hai
husn se dil laga ke hasti ki
har ghaDi hum ne aatishin ki hai
subh-e-gul ho ki sham-e-mai-KHana
madh us ru-e-naznin ki hai
shaiKH se be-hiras milte hain
hum ne tauba abhi nahin ki hai
zikr-e-dozaKH bayan-e-hur o qusur
baat goya yahin kahin ki hai
ashk to kuchh bhi rang la na sake
KHun se tar aaj aastin ki hai
kaise manen haram ke sahl-pasand
rasm jo aashiqon ke din ki hai
‘faiz’ auj-e-KHayal se hum ne
aasman sindh ki zamin ki hai
tere gham ko jaan ki talash thi tere jaan-nisar chale gae
teri rah mein karte the sar talab sar-e-rahguzar chale gae
teri kaj-adai se haar ke shab-e-intizar chali gai
mere zabt-e-haal se ruTh kar mere gham-gusar chale gae
na sawal-e-wasl na arz-e-gham na hikayaten na shikayaten
tere ahd mein dil-e-zar ke sabhi iKHtiyar chale gae
ye hamin the jin ke libas par sar-e-rah siyahi likhi gai
yahi dagh the jo saja ke hum sar-e-bazm-e-yar chale gae
na raha junun-e-ruKH-e-wafa ye rasan ye dar karoge kya
jinhen jurm-e-ishq pe naz tha wo gunahgar chale gae
teri umid tera intizar jab se hai
na shab ko din se shikayat na din ko shab se hai
kisi ka dard ho karte hain tere nam raqam
gila hai jo bhi kisi se tere sabab se hai
hua hai jab se dil-e-na-subur be-qabu
kalam tujh se nazar ko baDe adab se hai
agar sharar hai to bhaDke jo phul hai to khile
tarah tarah ki talab tere rang-e-lab se hai
kahan gae shab-e-furqat ke jagne wale
sitara-e-sahari ham-kalam kab se hai
tujhe pukara hai be-irada
jo dil dukha hai bahut ziyaada
nadim ho tera harf-e-shirin
to rang par aae rang-e-baada
ata karo ek ada-e-dairin
to ashk se tar karen libaada
na jaane kis din se muntazir hai
dil-e-sar-e-rah-guzar fitada
ki ek din phir nazar mein aae
wo baam-e-raushan wo dar kushada
wo aae pursish ko phir sajae
qaba-e-rangin ada-e-sada
tum aae ho na shab-e-intizar guzri hai
talash mein hai sahar bar bar guzri hai
junun mein jitni bhi guzri ba-kar guzri hai
agarche dil pe KHarabi hazar guzri hai
hui hai hazrat-e-naseh se guftugu jis shab
wo shab zarur sar-e-ku-e-yar guzri hai
wo baat sare fasane mein jis ka zikr na tha
wo baat un ko bahut na-gawar guzri hai
na gul khile hain na un se mile na mai pi hai
ajib rang mein ab ke bahaar guzri hai
chaman pe ghaarat-e-gul-chin se jaane kya guzri
qafas se aaj saba be-qarar guzri hai
tumhaari yaad ke jab zaKHm bharne lagte hain
kisi bahane tumhein yaad karne lagte hain
hadis-e-yar ke unwan nikharne lagte hain
to har harim mein gesu sanwarne lagte hain
har ajnabi hamein mahram dikhai deta hai
jo ab bhi teri gali se guzarne lagte hain
saba se karte hain ghurbat-nasib zikr-e-watan
to chashm-e-subh mein aansu ubharne lagte hain
wo jab bhi karte hain is nutq o lab ki baKHiya-gari
faza mein aur bhi naghme bikharne lagte hain
dar-e-qafas pe andhere ki mohr lagti hai
to ‘faiz’ dil mein sitare utarne lagte hain

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home