Wednesday 10 April 2019

Kabhi Dhanak Si Utarti Thi Un Nigahon Mein – Ghazal by Fahmida Riaz

Kabhi Dhanak Si Utarti Thi Un Nigahon Mein – Ghazal by Fahmida Riaz

Kabhi dhanak si utarti thi un nigahon mein
woh shokh rang bhi dheeme pade hawaon mein.
Main tez-gaam chali ja rahi thi us ki samt 
kashish ajeeb thi us dasht ki sadaon mein.
Woh ek sada jo fareb-e-sada se bhi kam hai 
na doob jaaye kahin tund-rau hawaon mein.
Sukoot-e-shaam hai aur main hoon gosh-bar-aawaaz 
ki ek vaade ka afsun sa hai fazaaon mein.
Meri tarah yunhi gum-karda-raah chhodegi
tum apni baanh na dena hawa ki baanhon mein.
Nuqoosh paanv ke likhte hain manzil-e-na-yaft 
mera safar toh hai tahreer meri raahon mein. !!

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home