Wednesday 27 March 2019

MOHSIN NAQVI


Wo Kya Gya Ke Ronaq e Dar-o Dewar Gyi Mohsin
Ik Shakhs Le Gya Meri Dunya Samait Kar

Poetry By Mohsin Naqvi

Jab bhi hansne ke zamaane aaye
Zakhm phir yaad puraane aaye
Baar-ha unko manaaya to hamein
RooTh jaane ke bahaane aaye
Phir mujhe toot ke chaaha usne
Phir bichhaRne ke zamaane aaye
Muskuraa kar hamein milne waale
Zindagi bhar ko rulaane aaye
Kitni mahroom thiN neendein unki
Khaab bhi jin ko jagaane aaye
Teri chahat ne Thaharne na diya
Raah mein kitne thikaane aaye
Tu nahi hai to hawa ka jhoNka
Ghar ki zanjeer hilaane aaye
Dil bujhaa hai na jale hain kheeme
Aap kyuN jashn manaane aaye
Isi ummeed pe jaago yaaro!
Ab woh kis waqt na jaane aaye
Raas aaya jinhein sehra ‘Muhsin’
Unki qismat mein khazaane aaye

Sad Poetry By Mohsin Naqvi

Zikar Shab-E Firaq Se Wahshat Usay Bhi Thi
Meri Tarah Kisi Se Mohabat Usay Bhi Thi
Mohsin Naqvi Poetry In Urdu
Bazaahir log kitne mehrbaaN the !
Magar dukh banTne wale kahaan the
LaboN per muskurahat ki dhanak thi
Lahoo lathre sukhan zer E zubaN the
Jo manzil aashna the wo musafir !!
Pus e khak e ghubaar e karvaaN the
Mai aise shahr ka baasi bana hooN
MakiN patther the, shishe k makaN the
Jala jab aashyaaN to hum ne jana
K tinke bhi hawa ke raazdaaN the
Kisi ne haal tak puchha na ‘Mohsin’
Hum ahl e dil bhi kitne rayegaaN the

Mohsin Naqvi Urdu Poetry

Umar Sar Tu Bohat Door Ki Baat Hai Mohsin
Ik Lamhe Ke Liye Kash Wo Mera Hota

Mohsin Naqvi Urdu Shayari

BichhaR ke tum se yeh sochuN, K dil kahaaN jaaye
Sehar udaas kare, shaam raayegaaN jaaye
ZameeN – badar jo hue ho to mere ham-safaro
Chalay chalo K jahaaN tak yeh aasmaaN jaaye
Tamaam shahr mein phailii hui hai tanhaayii
Ye dil jawaaN sahi, lekin kahaaN kahaaN jaaye
JaluN to yuN K azal jagmagaa uThe mujh se
BujhuN to yuN K abad tak mera dhuwaaN jaaye
Abhi to dil se nikal kar zabaaN tak aayi hai
Kise khabar K kahaaN tak yeh daastaaN jaaye
Qadam-qadam pe hai zandaN ravish-ravish pe salib
Koi to ho jo K jo ab bahr E imtehaaN jaaye
BichhaR chalaa hai to meri duaa bhi leta ja
WahaaN-wahaaN mujhe paye, jahaaN-jahaaN jaye
Main apne ghar ki taraf jaarahaa huN yuN ‘Muhsin’
K jaise luT ke, kisi ban mein kaarvaaN jaaye

Mohsin Naqvi Shayari

Ik Baar Aur Dekh Kar Azad Kar De Muje Mohsin
K Main Aaj Bi Teri Pehli Nazar Ki Qaid Main Hon

Mohsin Naqvi Ghazal

Tark E muhabbat kar baiThe hum, zabt E muhabbat aur bhi hai
Ek Qyaamat beet chuki hai, ek Qyaamat aur bhi hai
Hum ne usi ke dard se apne saaNs ka rishta joR liya
Wana shahr me zindaa rahne ki ek surat aur bhi hai
Doobta suraj dekh ke khush rahna kis ko raas aaya
Din ka dukh sah jaane walo, raat ki wahshat aur bhi hai
Sirf rutoN ke saath badalte rahne par mauQoof nahi
Us me bach_choN jaisi zid karne ki aadat aur bhi hai
Meri bheegti palkoN par jab us ne donoN haath rakhe
Phir yeh bhed khula in ashkoN ki kuchh Qeemat aur bhi hai
Us ko gaNvakar ‘Mohsin’us ke dard ka Qarz chukaana hai
Ek aziyyat maaNd paRi hai, ek aziyyat aur bhi hai

Mohsin Naqvi 2 Line Poetry

Ab Tak Meri Yaadon Se Mitaye Nahi Mit’ta
Bhegi Hoyi Ik Sham Ka Manzar Teri Aankhen

Mohsin Naqvi Poetry

Wafa meN ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai
Woh sach kahay na kahay aaitebaar karna hai
Yeh tujh ko jaagtay rahnay ka shouq kab say huaa?
Mujhay to khair teraa intezaaar karna hai
Hawa ki zad meN jalanay haiN ansoN kay chiraagh
Kabhi yeh jashan sar E rahguzaar karna hai
Woh muskura kay naye waswasoN meN daal gaya
Khayaal tha K usay sharamsaar karna hai
Misaal E shaakh E barhana khizaN ke rut meN kabhi
Khud apnay jism ko be – barg O baar karna hai
Teray firaaq meN din kiss tarah kattaiN apnay
K shuGhal E shab to sitaray shumaar karna hai
Chalo yeh ashak hi moti samajh kay baich aayaiN
Kissi tarah to hamaiN rozgaar karna hai
Kabhi to dil meN chhupay zakhm bhi numayaaN hoN
Qaba samajh kay badan taar taar karna hai
Khuda khabar yeh koi zid K shouq hai ‘Mohsin’
Khud apni jaan kay dushman say payaar karna hai
Poetry By Mohsin Naqvi
Mohsin Main Baat Baat Pe Kehta Tha Jis Ko Jaan
Wo Shakhs Aaj Muj Ko Bey Jan Kar Gya

Mohsin Naqvi Poetry In Urdu

Kabhi jo cheR gayee yaad-E-raftagaaN Mohsin
Bikhar gayee haiN nigaaheN kahaaN kahaaN Mohsin
Hawa ne raakh urraaii to dil ko yaad aayaa
K jal bujheeN mere khaabon ki bastiyaaN Mohsin
Kuch aaise ghar bhi miley jin meN ghooNgatoN k iwaz
Hui haiN dafn dopattoN meN larrkiyaaN Mohsin
KhaNdar hai ahd-E-guzishta na chhu na chheR isay
KhuleN to band na hoN is ki khirrkiyaaN Mohsin
Bujha hai kaun sitaaraa k apni aankh k saath
Huey haiN saare manaazir dhuaaN dhuaaN Mohsin
Nahi k us ne ganwaaye haiN maah O saal apne
Tamaam umr kaTi yuun bhi raaegaaN Mohsi
Mila to aur bhi taqseem kar gaya mujh ko
SameiTna theeN jisay meri kirchiyaaN Mohsin
KahiN se us ne bhi toRa hai khud se rabt-E-wafa
Kahin se bhool gaya maiN bhi daastaaN Mohsin

Mohsin Naqvi Urdu Poetry

Ye Dil Ye Pagal Dil Mera Kun Bhuj Gya Awargi
Is Dasht Mein Ik Shehr Tha Wo Kya Hoya Awargi
Kal Shab Muje Be Shakal Ki Awaz Ne Chonka Dya
Mein Na Kaha Tu Kon Hai Us Ne Kaha Awargi

Mohsin Naqvi Urdu Shayari

BichhaR ke mujh se kabhi tu ne yeh bhi sochaa hai
Adhuuraa chaand bhi kitnaa udaas lagtaa hai
Ye lamhaa vasl kaa hai isko raayegaaN na samajh
K is ke baad vahii duuriyoN kaa sahraa hai
Kuchh aur der na jhaRtaa udaasiyoN kaa shajar
Kise Khabar tere saaye meN kaun baiThaa hai
Ye rakh-rakhaao muhabbat sikhaa gayii us ko
Vo ruuth kar bhi mujhe muskuraa ke miltaa hai
MaiN kis tarah tujhe dekhuun nazar jhijhakti hai
Teraa badan hai K yeh aaiinoN kaa dariyaa hai
Mohsin Naqvi Poetry In Urdu
Ham Tu Hanste Hain Dosron Ko Hansane Ki Khatar Mohsin
Warna Dil Pe Zakhm Itne Hain Ke Roya Bi Nahi Jata

Mohsin Naqvi Shayari

Ye dil, ye paagal dil mera kyuN bujh gayaa? aavaargii
Is dasht meN ik shahar thaa wo kyaa huaa? aavaargii
Kal shab mujhe be-shakl sii aavaaz ne chauNkaa diyaa
MaiN ne kahaa tuu kaun hai? us ne kahaa aavaargii
Ik tuu k sadiyoN se mere ham_raah bhiii ham_raaz bhii
Ik maiN k tere naam se naa_aashnaa aavaargii
Ye dard kii tanhaa_iyaaN, ye dasht kaa viiraaN safar
Ham log to uktaa gaye apanii sunaa aavaargii
Ik ajnabii jhoNke ne jab, puchhaa mere gham ka sabab
Sahraa kii bhiiigii ret par maiN ne likhaa aavaargii
Le ab to dasht-e-shab kii saariii vus’ateN sone lagiiN
Ab jaaganaa hogaa hameN kab tak? bataa aavaargii
Kal raat tanhaa chaaNd ko dekha tha maiN ne Khaab meN
‘Mohsin’ mujhe raas aayegii, shaayad sadaa aavaargii

Mohsin Naqvi 2 Line Poetry

Tumhen Jab Ru-baro Dekha Karen Gey
Ye Socha Hai Bohat Socha Karen Gey

Mohsin Naqvi Ghazal

Zikr-e shab-e firaaq se wehshat usay bhi thee,
Meri tarah kisi se muhabbat usay bhi thee.
Mujh ko bhi shoq tha naye chehron ki deed ka,
Rasta badal k chalne ki aadal usay bhi thee.
Us raat dair tak wo raha mahav-e guftagoo,
Masroof main bhi kam tha faraagat usay bhi thee.
Mujh se bichhar k shahar main ghul mil gaya wo shakhs,
Haalaanke shahar bhar se adaawat usay bhi thee.
Wo mujh se barh k zabt ka aadi tha jee gaya,
Warna her aik saans qayamat usay bhi thee.
Sunta tha wo bhi sab se puraani kahaaniyaan’
Shayad rifaaqaton ki zaroorat usay bhi thee.
Tanha husa safar main to mujh pe khula ye bhaid,
Saaye se pyar, dhoop se nafrat usay bhi thee.
Mohsin’ main us se keh na saka yun bhi haal-e dil,
Dar-pesh aik taaza museebat usay bhi thee..

Mohsin Naqvi Urdu Poetry

Ab Tu Bas Jaan Hi Deni Ke Bari Hai Mohsin
Main Kahan Tak Sabat Karon Ke Wafa Hai Muj Main

Usay Pana Usay Khona Usi Ke Hijr Mein Rona
Yehi Gar Ishq Hai Mohsin To Ham Tanha Hi Ache Thay
Wo Aksar Din Mein Bachon Ko Sula Deti Hai Is Dar Se
Gali Mein Phir Khilone Bechne Wala Na Aa Jaye
Us Ne Ye Soch Kar Hame Alwida Keh Diya Mohsin
Ye Ghreeb Log Hain Muhabat Ke Siwa Kya Dey Gey
Ham Apni Dharti Se Apni Har Simat Khud Talashen
Hamari Khatir Koi Sitara Nahi Chale Ga
Aj ki raat bi mumkin hai na soo sakon mohsin
Yad phir ayi hai neendon ko urane wali
Kahan Mile Gi Misal Meri Satam Giri Ki
Keh Mein Gulabon Ke Zakhm Kanton Say See Raha Hun
Azal Se Qayam Hain Dono Apni Zidon Pe Mohsin
Chale Ga Pani Magar Kinara Nahi Chale Ga
Ab K Barish Mein Tu Ye Kar-e Zyan Hona Hi Tha
Apni Kachi Bastion Ko Be-Nishan Hona Hi Tha
Chal Para Hun Mein Zamane Ke Asolon Pe Mohsin
Mein Ab Apni Hi Baton Se Mukar Jata Hun
Ik Diya Dil Mein Jlana Bhi, Bhuja Bhi Dena
Yaad Karna Bhi Usay Roz, Bhula Bi Dena
Kia Kahon Ye Meri Chahat Hai Ke Nafrat Us Ki
Naam Likhna Bhi Mera, Likh Ke Mita Bhi Dena
Siah Raat Mai Jalte Hain Jugnu Ki Tarah
Dilon Ke Zakhm Bi Mohsin Kmal Hote Hain
Thehrti Hui Shab-e-Syah Aur Wo Bi Taweel Tar
Mohsin Hijr Ke Maron Par Qayamat Hai December
Hmain Tu Kab Se Pta Hai K Tu Bewafa Hai Mohsin
Tuje Chaha Is Liye Shayad Teri Fitrat Badal Jaye
Kehta Tha Ke Tu Na Mila Tu Mar Jaon Ga Mohsin
Wo Aaj Bi Zinda Hai Yehi Baat Kisi Aur Ko Kehne Ke Liye
Main Tere Milne Ko Mojza Keh Raha Tha Lekin
Tere Bicharne Ka Saniha Bi Kamal Guzra
Jis Ko Tufan Se Uljane Ki Aadat Ho Mohsin
Aesi Kashti Ko Smandar Bi Dua Deta Hai

Teri Baton Main Zikr Us Ka Meri Baton Main Zikr Tera
Ajab Ishq Hai Mohsin Na Tu Mera Na Wo Tera
Jab Se Us Ne Shehr Ko Chora Har Rasta Sunsan Hua
Apna Kia Hai, Sare Shehr Ka Ik Jese Nuqsan Hoa
Sehra Ki Munh Zor Hwain, Auron Se Mansob Huen
Muft Main Ham Awara Thehray Muft Main Ghar Sunsan Hua
Kon Kehta Hai Nafraton Main Dard Hai Mohsin
Kuch Mohabtain Bi Bari Azait Nak Hoti Hain
Jab Chale To Tanha Thay Safr Main Mohsin
Phir Tum Milay Gham Milay Tanhai Mili Qafla Sa Ban Gaya
Ham Se Bewafai Ki Intha Kia Pochte Ho Mohsin
Wo Ham se Pyar Sekhta Raha Kisi Aur Ke Liye
Inkaar Ki Si Lazat, Iqrar Main Kahan Hai..?
Barhta Hai Ishq Mohsin Un Ki Nahin Nahin Se
Mila Tu Aur Bi Taqseem Kar Gaya Muj Ko
Sameetna Thi Jisay Meri Kerchian Mohsin
Ulja Rahi Hai Muj Ko Yahi Kashmakash Musalsal Mohsin
Wo A Basa Hai Muj Main Ya Main Us Main Kho Gaya Hoon
Ab Ye Socha Hai Apni Zaat Main Rahein Gay Mohsin
Buhat Dekh Lia Logon Se Shanasai Kar Ke
Tumhen khabar hi nahin ke koi toot gaya
Muhabaton ko bahut payedar karte hoye
Ae zindagi tu hi bta kese tuj se payar karon main
Teri har saans meri umar ghata deti hai
Tere qareeb bi reh kar tuje talash karon
Muhabtoon main meri bad hawasian na gayen
Ajeeb tarah se dono nakam hoye mohsin
Wo mujay chah na saka or main usay bhula na saka
Yad kar ke muje takleef hi hoti ho gi
Ik kissa hoon purana sa bhula de muj ko
Jab bhi hansne ke zamaane aaye
Zakhm phir yaad puraane aaye
Baar-ha unko manaaya to hamein
RooTh jaane ke bahaane aaye

1 Comments:

At 18 April 2021 at 23:05 , Blogger daily blogs said...

Your article has really good reading, thought-provoking information. You make several sound points I find agreeable. Your article is a good example of superior writing from a writer that cares. Thanks for sharing this information. toot siah

 

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home