Hum Se Tanhaai Ke Maare Nahin Dekhe Jaate – Ghazal by Farhat Shahzad
Hum se tanhaai ke maare nahin dekhe jaate
bin tere chaand sitaare nahin dekhe jaate.
Haarna din ka hai manzoor magar jaan-e-azeez
hum se gesu tere haare nahin dekhe jaate.
Dil phansa bhi ho bhanvar mein toh koi baat nahin
ranj mein doobte pyaare nahin dekhe jaate.
Jin ke pairon mein samundar the jhukaaye nazren
un ki aankhon mein kinaare nahin dekhe jaate.
Chheen le meri samaat ki basaarat ya rabb
un labon par mere naare nahin dekhe jaate.
Jin ki aahat se bandhi thi mere dil ki dhadkan
un nigaahon ke ishaare nahin dekhe jaate.
Toor patthar tha mere dil ko dikha apni jhalak
phir ye kahna ki nazaare nahin dekhe jaate.
Maah-e-kaamil bhi jise dekh ke sajde mein gire
aankh mein us ki sitaare nahin dekhe jaate. !! |
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home