Wednesday 10 April 2019

Alfaaz Narm Ho Gaye Lahje Badal Gaye – Ghazal by Shakeel Jamali

Alfaaz narm ho gaye lahje badal gaye 
lagta hai zaalimon ke iraade badal gaye.
Ye faayeda zaroor hua ehtijaaj se 
jo dho rahe the hum ko woh kaandhe badal gaye.
Ab khushbuon ke naam pate dhundte phiro
mahfil mein ladkiyon ke dupatte badal gaye.
Ye sarkashi kahan hai humare khameer mein
lagta hai aspataal mein bachche badal gaye.
Kuchh log hain jo jhel rahe hain musibaten
kuchh log hain jo waqt se pahle badal gaye.
Mujh ko meri pasand ka saame toh mil gaya
lekin ghazal ke saare hawaale badal gaye. !!

1 Comments:

At 11 April 2019 at 02:50 , Blogger Unknown said...

nice

 

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home