SAKLAIN ABBAS JAFRI : MAI EK MUSAFIR HUN.
ONLY PAIN
दीप था या तारा क्या जाने
दिल में क्यूँ डूबा क्या जाने.
गुल पर क्या कुछ बीत गई है
अलबेला झोंका क्या जाने.
आस की मैली चादर ओढ़े
वो भी था मुझ सा क्या जाने.
रीत भी अपनी रुत भी अपनी
दिल रस्म-ए-दुनिया क्या जाने.
उँगली थाम के चलने वाला
नगरी का रस्ता क्या जाने.
कितने मोड़ अभी बाक़ी हैं
तुम जानो साया क्या जाने.
कौन खिलौना टूट गया है
बालक बे-परवा क्या जाने.
ममता ओट दहकते सूरज
आँखों का तारा क्या जाने. !! |
Agar humare hi dil mein thikana chahiye tha
toh phir tujhe zara pahle batana chahiye tha.
Chalo hamin sahi saari buraaiyon ka sabab
magar tujhe bhi zara sa nibhana chahiye tha.
Agar naseeb mein taarikiyan hi likhi thi
toh phir charagh hawa mein jalana chahiye tha.
Mohabbaton ko chhupaate ho buzdilon ki tarah
ye ishtihaar gali mein lagana chahiye tha.
Jahan usool khata mein shumaar hote hon
wahañ waqaar nahin sar bachana chahiye tha.
Laga ke baith gaye dil ko rog chaahat ka
ye umar woh thi ki khaana kamaana chahiye tha. !! |
Alfaaz narm ho gaye lahje badal gaye
lagta hai zaalimon ke iraade badal gaye.
Ye faayeda zaroor hua ehtijaaj se
jo dho rahe the hum ko woh kaandhe badal gaye.
Ab khushbuon ke naam pate dhundte phiro
mahfil mein ladkiyon ke dupatte badal gaye.
Ye sarkashi kahan hai humare khameer mein
lagta hai aspataal mein bachche badal gaye.
Kuchh log hain jo jhel rahe hain musibaten
kuchh log hain jo waqt se pahle badal gaye.
Mujh ko meri pasand ka saame toh mil gaya
lekin ghazal ke saare hawaale badal gaye. !! |
Hum se tanhaai ke maare nahin dekhe jaate
bin tere chaand sitaare nahin dekhe jaate.
Haarna din ka hai manzoor magar jaan-e-azeez
hum se gesu tere haare nahin dekhe jaate.
Dil phansa bhi ho bhanvar mein toh koi baat nahin
ranj mein doobte pyaare nahin dekhe jaate.
Jin ke pairon mein samundar the jhukaaye nazren
un ki aankhon mein kinaare nahin dekhe jaate.
Chheen le meri samaat ki basaarat ya rabb
un labon par mere naare nahin dekhe jaate.
Jin ki aahat se bandhi thi mere dil ki dhadkan
un nigaahon ke ishaare nahin dekhe jaate.
Toor patthar tha mere dil ko dikha apni jhalak
phir ye kahna ki nazaare nahin dekhe jaate.
Maah-e-kaamil bhi jise dekh ke sajde mein gire
aankh mein us ki sitaare nahin dekhe jaate. !! |
Ye kis ke aansuon ne us naqsh ko mitaya
jo mere lauh-e-dil par tune kabhi banaya.
Tha dil jab us pe maail tha shauq sakht mushkil
targhib ne usey bhi aasaan kar dikhaya.
Ek gard-baad mein tu ojhal hua nazar se
is dasht-e-besamar se juz khaak kuchh na paaya.
Aey chob-e-khushk-e-sahra woh baad-e-shauq kya thi
meri tarah barahna jisne tujhe banaya.
Phir hum hain neem-shab hai andesha-e-abas hai
woh wahima ki jis se tera yaqeen aaya. !! |
Chaar-su hai badi wahshat ka saman
kisi aaseb ka saaya hai yahan.
Koi aawaz si hai marsiyan-khwan
shahr ka shahr bana goristan.
Ek makhluq jo basti hai yahan
jis pe insaan ka guzarta hai gumaan.
Khud toh saakit hai misaal-e-tasweer
jumbish-e-ghair se hai raqs-kunan.
Koi chehra nahin juz zer-e-naqaab
na koi jism hai juz be-dil-o-jaan.
Ulma hain dushman-e-fahm-o-tahaqeeq
kodani sheva-e-daanish-mandan.
Shayar-e-qaum pe ban aayi hai
kizb kaise ho tasawwuf mein nihan.
Lab hain masroof-e-qaseeda-goi
aur aankhon mein hai zillat uryan.
Sabz khat aaqibat-o-din ke aseer
paarsa khush-tan-o-nau-khez jawaan.
Ye jan-e-naghmagaar-o-ishq-shiaar
yaas-o-hasrat se hui hai hairaan.
Kis se ab aarzu-e-wasl karen
is kharaabe mein koi mard kahan. !! |
Kabhi dhanak si utarti thi un nigahon mein
woh shokh rang bhi dheeme pade hawaon mein.
Main tez-gaam chali ja rahi thi us ki samt
kashish ajeeb thi us dasht ki sadaon mein.
Woh ek sada jo fareb-e-sada se bhi kam hai
na doob jaaye kahin tund-rau hawaon mein.
Sukoot-e-shaam hai aur main hoon gosh-bar-aawaaz
ki ek vaade ka afsun sa hai fazaaon mein.
Meri tarah yunhi gum-karda-raah chhodegi
tum apni baanh na dena hawa ki baanhon mein.
Nuqoosh paanv ke likhte hain manzil-e-na-yaft
mera safar toh hai tahreer meri raahon mein. !! |