Tuesday 30 July 2019

LABOUR DAY SHAYARI Celebration of workers' day with Urdu Shayari

phūTne vaalī hai mazdūr ke māthe se kiran
surḳh parcham ufuq-e-sub.h pe lahrāte haiñ
ALI SARDAR JAFRI

bulāte haiñ hameñ mehnat-kashoñ ke haath ke chhāle
chalo muhtāj ke muñh meñ nivāla rakh diyā jaa.e
RAZA MAURANVI
zindagī ab is qadar saffāk ho jā.egī kyā
bhuuk mazdūr ḳhūrāk ho jā.egī kyā
RAZA MAURANVI

zamām-e-kār agar mazdūr ke hāthoñ meñ ho phir kyā
tarīq-e-koh-kan meñ bhī vahī hiile haiñ parvezī
ALLAMA IQBAL

    peḌ ke nīche zarā chhāñv jo us ko milī
    so gayā mazdūr tan par boriyā oḌhe hue
    SHARIB MAURANWI

    is liye sab se alag hai mirī ḳhushbū 'āmī'
    mushk-e-mazdūr pasīne meñ liye phirtā huuñ
    IMRAN AAMI

    maiñ ki ek mehnat-kash maiñ ki tīrgī-dushman
    sub.h-e-nau ibārat hai mere muskurāne se
    MAJROOH SULTANPURI

    duniyā merī zindagī ke din kam kartī jaatī hai kyuuñ
    ḳhuun pasīna ek kiyā hai ye merī mazdūrī hai
    MANMOHAN TALKH

    ta.amīr-o-taraqqī vaale haiñ kahiye bhī to un ko kyā kahiye
    jo shīsh-mahal meñ baiThe hue mazdūr bāteñ karte haiñ
    OBAIDUR RAHMAN

    0 Comments:

    Post a Comment

    Subscribe to Post Comments [Atom]

    << Home