LABOUR DAY SHAYARI
MUNAWWAR RANA
MUNAWWAR RANA
ALLAMA IQBAL
MUNAWWAR RANA
JAMEEL MAZHARI
AFZAL KHAN
HAFEEZ JALANDHARI
AHMAD SALMAN
NAFAS AMBALVI
NUSHUR WAHIDI
SHARIB MAURANWI
ANWAR MASOOD
TANVEER SIPRA
HAIDAR ALI JAFRI
VILAS PANDIT MUSAFIR
2; farishte aa kar un ke jism par ḳhushbū lagāte haiñ
vo bachche rail ke Dibboñ meñ jo jhāḌū lagāte haiñ
3: tū qādir o aadil hai magar tere jahāñ meñ
haiñ talḳh bahut banda-e-mazdūr ke auqāt
4: bojh uThānā shauq kahāñ hai majbūrī kā saudā hai
rahte rahte station par log qulī ho jaate haiñ
5: hone do charāġhāñ mahloñ meñ kyā ham ko agar dīvālī hai
mazdūr haiñ ham mazdūr haiñ ham mazdūr kī duniyā kaalī hai
6: logoñ ne ārām kiyā aur chhuTTī puurī kī
yakum may ko bhī mazdūroñ ne mazdūrī kī
7 : aane vaale jaane vaale har zamāne ke liye
aadmī mazdūr hai rāheñ banāne ke liye
8: kuchal kuchal ke na fōt-pāth ko chalo itnā
yahāñ pe raat ko mazdūr ḳhvāb dekhte haiñ
9: ab un kī ḳhvāb-gāhoñ meñ koī āvāz mat karnā
bahut thak-hār kar fōtpath par mazdūr so.e haiñ
10: daulat kā falak toḌ ke aalam kī jabīñ par
mazdūr kī qismat ke sitāre nikal aa.e
11: saroñ pe oḌh ke mazdūr dhuup kī chādar
ḳhud apne sar pe use sā.ebāñ samajhne lage
12: maiñ ne 'anvar' is liye bāñdhī kalā.ī par ghaḌī
vaqt pūchheñge ka.ī mazdūr bhī raste ke biich
13: mill mālik ke kutte bhī charbīle haiñ
lekin mazdūroñ ke chehre piile haiñ
14: ḳhuun mazdūr kā miltā jo na ta.amīroñ meñ
na havelī na mahal aur na koī ghar hotā
15: mehnat kar ke ham to āḳhir bhūke bhī so jā.eñge
yā maulā tū barkat rakhnā bachchoñ kī guḌ-dhānī meñ
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home